May 14, 2014

Khabar na thi ussay rastay main chorna ho ga


Zidon samait kabhi dil ko chorna ho ga
Yeh aina kisi pathar pe torna ho ga

Yahi nahin keh hamain toor kar gaya hai koi
Ussay bhi khud ko bhout der jorna ho ga

Tuli hui hai bhout sar'kashi pe hijar ki rut
Yeh rut rahi to kahin sar hi phorna ho ga

Qareeb sahil-e-dariya bichi hai piyaas meri
Hawas ko daman-e-dariya nichorna ho ga

Talab ko tu na mailay ga aur log bhout
Kisi taraf to yeh toofan bhi morna ho ga

Kabhi mata-e-safar tha jo dil raha mohsin
Khabar na thi ussay rastay main chorna ho ga

Poet : Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...