Bharka'ein meri piyaas ko aksar teri aankhein
Sehra mera chehra hai samandar teri aankhein
Phir kon bhala daad-e-tabasum unhein de ga
Ro'ein gi bhout mujh se bichar kar teri aankhein
Bojhal nazar aati hai ba'zahir mujhay lakin
Khilti hain bhout dil main utar kar teri aankhein
Ab tak meri yaadon se mita'ey nahin mitt'ta
Bheegi hui sjhaam ka manzir , teri aankhein
Mumkin ho to ik taza ghazal aur bhi keh loon
Phir orh na lain khawab ki chadar , teri aankhein
Youn dekhtay rehna ussay acha nahin "Mohsin"
Woh kaanch ka pai'kar hai to pathar teri aankhein
No comments:
Post a Comment