Is shaher sang-e-dil ko jala dena chahiye
phir is ki khaak ko bhi ura dena chahiye
milti nahin pannah hamain jis zameen par
ik hashar us zameen pe utha dena chahiye
had se guzar gayi hai yahan rasm-e-qaheri
is dehar ko ab is ki saza dani chahiye
ik tez ra'ad jaisi sada her makaan main
logon ko in ke ghar main dara dena chahiye
gum ho chalay ho tum to bhout khud main ae munir
duniya ko kuch to apna pata dena chahiye
Poet : Munir Niazi
No comments:
Post a Comment