Dil main ik lehar si uthi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
shor barpa hai khana-e-dil main
koi dewaar si giri hai abhi
bhari duniya main jee nahin lagta
janey kis cheez ki kami hai abhi
tu shreek-e-sukhan nahin hai to kiya
hum sukhan teri kamshi hai abhi
yaad ke be'nishaan jazeeron se
teri awaaz aa rahi hai abhi
shaher ki be'chraagh galiyon se
zindagi tujh ko dhoondti hai abhi
so gaye log is havaili ke
aik khirki magar khuli hai abhi
tum to yaro abhi se uth baithay
shaher main raat jagti hai abhi
kuch to nazuk mizaaj hain hum bhi
aur yeh choat bhi nai hai abhi
No comments:
Post a Comment