dukh dard ke maron se mera zikar na karna
ghar jayo to yaron se mera zikar na karna
woh zabt na kar payein ge ankhon ke smandar
tum raah guzaron se mera zikar na karna
pholon ke nasheman main raha hoon main sada se
dekho kabhi kharon se mera zikar na karna
shyed andehary hi mujhay raah dikha'ein
ab chnad sitaron se mera zikar na karna
woh meri kahani ko ghalat rang na de dain
afsana nigaron se mera zikar na karna
shyed woh meray haal pe be'sakhta ro dain
is baar baharon se mera zikar na karna
le jayein ge gehhraei main tum ko bhi baha kar
dariya ke kinaron se mera zikar na karna
woh shaks milay to ussay her baat batana
tum sirf isharon se mera zikar na karna
No comments:
Post a Comment