May 20, 2014

tum meray dard bhi, gham bhi, meray alaam bhi tum


tum meray dard bhi, gham bhi, meray alaam bhi tum
tum mera chain ho jana , mera araam bhi tum

kamyabi ko nahin hum ne tumhain chaha hai
hum tumharay hain, bhalay ho gaye na;kaam bhi tum

main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho
main hoon mujhram to meri jaan mera ilzaam bhi tum ho

muktalif heelon bahano se mujhay sochtay ho
aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum

raat din tum ko faqat tum ko mujhay sochna hai
meri fursat bhi tumhi aur mera kaam bhi tum

jis se roshan mera angan hai tumhi ho woh chragh
sach to yeh hai keh tumhi ghar ho dar-o-baam bhi tum

yeh siysat bhi ajab khel hai bhoolay panchi
yahan siyaad bhi tum ho to teh-e-daam bhi tum

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...