dyar-e-ghair main kaisay tujhay sada detay
tu mil bhi jata to tujhay ganwa detay
tumhi ne hum ko sunaya na apna dukh warna
dua woh kartay keh hum asmaan hila detay
Hamein yeh zoham raha ab kay woh pukarein gay
Unhein yeh zid thi keh her baar hum sada detay
woh tera gham tha keh taseer meray lehjay ki
keh jis ko haal sunatay ussay rula detay
tumhain bhulana hi awal to dastaras main nahin
jo iktiyaar bhi hota to kiya bhula detay
Hum apnay bachon se kaisay kahein keh yeh guriya
Hamaray bas main jo hoti to hum dila detay
tumhari yaad ne koi jawaab hi na diya
meray khyal ke ansoo rahay sada detay
Sama'aton ko main ta'umar kosta "Syed"
Woh kuch na kehtay magar hont to hila detay
No comments:
Post a Comment