Faslay aisay bhi hon gay yeh kabhi socha na tha
Samnay baitha tha meray aur woh mera na tha
Woh keh khushbo ki atrah phaila tha meray chaar su
Main ussay mehsoos kar sakta tha chu sakta na tha
Raat bhar pichli si aahat kaan main aati rahi
Jhaank kar dekha gali main koi bhi aya na tha
Aaj us ne dard bhi apnay alehda kar liye
Aaj main roya to meray saath woh roya na tha
YEh sabhi veeraniyan us kay juda honay se thein
Aankh dhund'laai hui thi shaher dhund'laya na tha
No comments:
Post a Comment