Woh humsafar tha magar us se hum'nawai na thi
KEh dhoop chaaon ka aalam raha judai na thi
Na apna ranj , na apna dukh , na auron ka malaal
Shab-e-firaq kabhi hum ne youn ganwai na thi
Mohabbaton ka safar kuch is tarah bhi guzra tha
Shakista dil thay musafir , shakista paai na thi
Adawatein thein , taghafal tha , ranjishein thein bhout
Bicharnay walay main sab kuch tha , be'wafai na thi
Bichartay waqat un ki aankhon main thi hamari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunaai na thi
KAisay pukaar raha tha woh doobta hau din
Sada to ayi thi lakin koi dohaai na thi
No comments:
Post a Comment