Gosha-e-zehan main be'rabat khayalon ka hajoom
chashm-e-tanhai se chun kar wohi be'baak se aashk
lamha-e-wasal ke is ahed-e-framoshi ko
yaad karta hai siskata hai bilakata hai bhout
aaj bhi dasht-e-musafat ke khatan raston main
jalti bujhti hui be'naam rafaqat ki shuaa
aarz-e-waqat ki surkhi pe chalak parti hai
phir se milnay ki yeh mahoom-e-talab aur tarap
aaj bhi zehan ke gooshon main chamak uthti hai
aaj bhi soch ke angaar jazeeray main tu
aankh ke noor main tu dil ke sawaray main tu
ajnabi shaam ki dam torti barsaat main tu
hai lakeeron ki tarah sibat meray hathon main
meray honthon ka tabussam meray din raat main tu
ham'kalami ka koi waqia guzar bhi nahin
phir bhi lagta hai moujood hai her baat main tu
mujh se waqif hi nahin teri tabiyat lakin
tarz-e-afkaar main tu shava-e-guftaar main tu
tu hi tu hai meray her atraaf ki her sha main pinhan
kabhi iqraar ka hasil kabhi inkaar main tu
kabhi saya kabhi sehra kabhi nazron ka sarab
kabhi shabnam kabhi nighat kabhi raang-o-kushboo
tu meri neend mera khwaab meri subho shaam
tu musarat tu mera dukh tu mera sab kuch hai
tu mera kuch bhi nahin phir bhi mera sab kuch hai
Poet : Mohsin changaizi
No comments:
Post a Comment