kabhi ban sanwar ke jo aa gaye to bahar-e-hussan dikha gaye
meray dil ko daagh laga gaye woh naya shagufa khila gaye
koi kyn kisi ka dil lubhaye dil koi kyn kisi se lagaye dil
woh jo bachtay thay dawa-e-dil , woh dukaan apni bharha gaye
meray paas atay thay dam-ba-dam woh juda na hotay thay aik dam
yeh dikhaya charkh ne kiya sitam keh mujhi se aankhain chura gaye
yahi shauq tha hamain dam-ba-dam keh bahaar dekhain ge ab ke hum
joun hi chootay qaid-e-qafas se hum to suna khizaan ke din aa gaye
Poet : Bahadur Shah Zafar
No comments:
Post a Comment