May 13, 2014

Hawa Subha dam us ki aahista aahista khulti hui aankh se


Hawa 
Subha dam us ki aahista aahista khulti hui aankh se 
Khawab ki seepiyan chun'nanay jaye to kehna 
Keh hum jaagtay hain 
Hawa us se kehna 
Keh jo hijar ki aag peeti ruton ki tanabein 
Ragon se ulajhti hui saans kay saath kas dain 
Inhain raat kay sur'maei haath khairaat main neend kab ?
Hawa us kay bazu pe likha hua koi taveez bandhay to kehna !
Keh awargi orh kar saans letay musafir
Tujhay khojtay khojtay thak gaye hain 
Hawa us se kehna !
Keh hum ne tujhay khojnay ki sabhi khwaishon ko 
Udasi ki dewar main chun diya hai 
Hawa us se kehna 
Keh wehshi darindonki basti ko jatay huye raaston par
Teray naqsh-e-paa ........ dekh kar 
Hum ne dil main teray naam kay her taraf
Ik siyah maat'tami haashiya bun diya hai 
Hawa us se kehna !
Hawa kuch na kehan ......!
Hawa kuch na kehna 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...