Hum jo ponchay sar-e-maqtal to yeh manzar dekha
Sab se oncha tha jo sar nok-e-sina par dekha
Hum se mat poocho Keh kab chaand ubharta hai yahan
Hum ne suraj bhi teray shaher main a kar dekha
Piyaas yaron ko ab us mor pe le aye hai
Rait chamki to yeh samjhay samandar dekha
Aisay liptay hain dar-o-baam se ab ke jaisay
Hadson ne bari mudat main mera ghar dekha
Zindagi bhar na hua khatam qayamat ka azaab
Hum ne her saans main barpa neya mehsar dekha
Itna be'his ke pighalta he nahin tha baton se
Admi tha keh trasha hua pathar dekha
Dukh hi aisa tha keh roya tera mohsin warna
Gham chupa kar ussay hanstay huye aksar dekha
Poet : Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment