May 21, 2014

ik khwaab hai aur tum ho



meri zindagi main bas ik kitaab hai ik chragh hai

ik khwaab hai aur tum ho

yeh kitaab-o-khwaab ke darmiyan jo manzalain hain 

main chahta hoon

tumharay sath basar karon

yahi kul asas-e-zindagi hai , isi ko zaad-e-safar karon

kisi aur simit nazar karon to meri dua main asar na ho

meray dil ke jada-e-kush'khabar pe bajaz tumharay kabhi kisi ka guzar na ho

magar is tarh keh tumhain bhi is ki khabar na ho

isi ehtiyat main sari umar guzar gaye

woh jo arzoo thi kitaab-o-khwaab ke sath tum bhi shreek ho wohi mar gaye

isi kash'makash ne kai sawal uthaye hain 

woh sawal jin ka jawaab meri kitaab main hai na khwaab main

meray dil ke jada-e-kush'khabar ke rafeeq

tum hi batayo phir keh yeh karo'baar-e-hayat kis ke hisaab main

meri zindagi main bas ik kitaab ik chraagh hai

ik khwaab hai aur tum..........!

Poet : Iftikhaar Arif

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...