May 19, 2014

Main lafzon main kuch bhi izhaar nahin karti


Main lafzon main kuch bhi izhaar nahin karti 
Is ka matlab yeh nahin keh main tujh se pyar nahin karti 

Chahti hoon main tujhay aaj bhi magar 
Teri soch main apna waqat be'kaar nahin karti 

Tamasha na ban jaye mohabbat meri 
Is liye apnay dard ko namu'daar nahin karti 

Jo kuch mila hai is main khush hoon main 
Teray liye Khuda se takraar nahin karti 

Par kuch to baat hai teri fitrat main zaalim
Warna main tujhay chahnay ki khatta baar baar na karti

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...