Mohabbat chup nahin rehti
Woh kehti hai , keh khushiyon main bhi tum to ronay lagtay ho
Main kehta hoon , meri aankhon ko sawan acha lagta hai
Woh boli , tum bhi farhat zindagi se rooth jaao gay
Main bola , haan shayed mout mujh se maan jaye gi
Woh boli , tum khushi kay geet ko mayoos kartay ho
Main bola , kya karon in mukhtasir geeton ka mousam hai
Woh boli , tum to farhat khud hi khud se haar jatay ho
Main bola , kya karon kamzor hoon aur be'sahara hoon
Woh boli , kya yeh sab kuch itafaqan hai tumhara gham
Main bola , yeh bhi mumkin hai yeh san ehtraaman ho
No comments:
Post a Comment