Jo bhi daron-e-dil hai woh baahir na aaye ga
Ab Aa'gahi ka zehar zaban par na aaye ga
Ab kay bichar kay us ko nadamat thi is qadar
Jee chahta bhi ho to palat kar na aaye ga
Youn phir raha hai kaanch ka paikar liye huye
Ghafil ko yeh gumaan hai keh pathar na aaye ga
Phir boo raha hoon aaj unhi saahilon pe phool
Phir jaisay moj main yeh samandar na aaye ga
Main jaan bulb hoon tark-e-taaluk kay zehar se
Woh mutmaein keh harf to us par na aaye ga
No comments:
Post a Comment