Qurbaton main judai kay zamanay maangay
Dil woh be'mehar keh ronay kay bahanay maangay
Hum na hotay to kisi aur kay charchay hotay
Khalqat-e-shaher to kehnay ko fasanay maangay
Yehi dil tha keh tarasta tha marasam kay liye
Ab yahi tark-e-taaluq kay bahanay maangay
Apna yeh haal keh jee haar chukay lut bhi chukay
Aur mohabbat wohi andaz puranay maangay
Zindagi hum teray daghon se rahay sharminda
Aur tu hai keh sada Aainay khanay maangay
Dil kisi haal pe qaneh hi nahin jaan-e-faraz
Mil gaye tum bhi to kya aur na janay maangay
No comments:
Post a Comment