Kaash main teray bun-e-gosh main bunda hota
Raat ko be'khabri main jo machal jata main
To teray kaan se chup chaap nikal jata main
Subha ko girtay teri zulfon se jab basi phool
Meray kho janay pe hota tera dil kitna malool
Tu mujhay dhoondti kis shoq se ghabrahat main
Apnay mehkay huye bister ki her ik salwat main
Joun hi karti teri narm ungliyan mehsoos mujhay
Milta is gosh ka phir gosha-e-manoos mujhay
Kaan se tu mujhay hargiz na utara karti
Tu kabhi meri judai na gawara karti
Youn teri qurbat-e-rangeen kay nashay main madhosh
Umar bhar rehta meri jaan main tera halqa ba'gosh
Kaash main teray bun-e-gosh main bunda hota
No comments:
Post a Comment