May 20, 2014

tumhain jana ijazat hai kwh in tareek raahon par




tumhain jana ijazat hai

keh in tareek rahon par
thakan se khud main paon
andheron se kabhi dil doal jaye
thak se jayo to
meray jaltay huye lamhon
meray kangaal hathon se chura ke apnay hathon ko
fiza ki nagmagi se tum naye geeton ko chun lena
haseen palkon ki nokon par naye kuch khwaab bun lena
koi gar pooch le mera to us se zikar mat karna
meray jeevan ki jalti dopehar se be'gharz ho kar
tum apni chandani raton main jugno palti rehna
meri tanhayon ki wehston ki fikar mat karna
tumhain is ki ijazat hai
meray sab khat jla dena
meray tohfon ko dariya main baha dena daba dena
meri her yaad ko dil se kurchana aur mita dena
tumhain bilkul ijazat hai
keh jab chayo bhula dena
magar itni guzarish hai agar aisa na ho jana
to acha hai ...... !


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...