Kabhi jo mujh ko talaash karna
to chaand raaton ki chandani main
gul-e-chaman se sawaal karna
udaas kyn ho ?
kyn awss qatron main apney ansoo
chupa rahay ho
haseen mousam main kis ki yaadon main
apney dil ko jala rahay ho
gul-e chaman yeh sawaal sun kar
tumhari aamad ka haal sun kar
kahay ga tum jis ko khojtay ho
woh in baharon ki sari kushboo
chura ke ab ik naye chaman main
mehak raha hai
udaas kar ke yahan pe hum ko
kisi chaman main chahek raha hai
gul-e-chaman yeh hall sun kar
tumhain lagay ga main be'wafa hoon
udaas kaliyon ko chor kar main
nai baharon ko dhoondta hoon
magar haqeeqat main is chaman ke
tamaam phoolon ki khwaishon ka
aur in ki na'kaam ka'washon ka
haseen mousam ki barishon ka
na meray dil pe asar hua tha
na meray dil pe asar hua hai
main aaj bhi ik naye chaman main
puraney qissay suna raha hoon
jo meri chahat ka dev'ta tah
main aaj bhi us ko poojta hoon
yaqeen nahin to palat ke dekho
wahin khara tha , wahin khara hoon
No comments:
Post a Comment