mujhay ab loat jana hai
achanak ab toot jana hai
keh meray des se agay koi perdes mera muntazir hai
aur meray dosto ne meray hathon main
safar ka zaad bhi pakraa diya hai
guzista kal ki sab batein bhulaney ja raha hoon
per woh batein jo teray hasaas chaheray per nu'mayan thein
woh saray lafaz jo ashkon ki surat aankh main utray
teray khamosh paykar main chuppay gum naak afsane
teri guftaar ki rim jhim
teri raftaar ka mousam
terey kirdaar ka moti
terey dil se ubaltay khoon ke be'awaaz se naghmay
teray chaheray ke khad-o-khaal , nigahon main chupay dariya
teray ehsaas ki shiddat
teray jazbaat ki hiddat
main sab kuch yaad rakhyon ga
teri khamosh awazein
meray mazi ka hissa ban kar bharen ge
mujhay ab loat jana hai
achanak toot jana hai
No comments:
Post a Comment