May 27, 2014

Meray dil se le kar teray sang-e-dil tak


Meray dil se le kar teray sang-e-dil tak

gumaan ki chitaan aur haqeeqat ki sail tak

jo aankhon se meri teray kalay til tak

buna tha mohabbat ki makri ne jala

zamaney ke hathon ne woh taar-e-ulfat

yahan se wahan tak sabhi noch dala

to dono hi dil ab riha ho chukay hain

chitaan aur woh sail bhi juda ho chukay hain

woh aankhain woh til bhi fana ho chukay hain

woh chahat na janey kidher ko gayi hai

woh makri bhi shyed kahin kho gayi hai


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...