May 24, 2014

Mohabbat aakhrish hai kiya


main shayer hoon to aksar log mujh se poochtay hain
is haseen israar ke baray main
bataein to bhala kiya hain?
mohabbat aakhrish hai kiya?
wasi main hans ke kehta hoon
kisi piyasay ko apney hissay ka pani pilana bhi 
mohabbat hai
bhanwar main doobtay ko sahil'on tak le ke jana bhi
mohabbat hai
kisi ke wastey nanhi si qurbani bhi 
mohabbat hai
kahin hum raaz saray khol saktay hon magar phir bhi
kisi ki be'basi ko dekh kar khamosh reh jana bhi
mohabbat hai
ho dil main dard , veerani magar phir bhi
kisi ke wastay jabran hi honthon par hansi lana 
zabardasti hi muskana bhi
mohabbat hai
kahin barish main sehmay bheegtay bili ke bachay ko
zara si der ko ghar le ke ana bhi
mohabbat hai
koi chiriya jo kamray main bhat'takti aan nikli ho
to us chriya ko 
phankay band kar ke raasta bahair ka diklana bhi
mohabbat hai
kisi ke zakham sehlana
kisi rotay huye ky dil ko behlana bhi
mohabbat hai
k meetahy bol, meethi baat , meethay lafaz , sab kiya hain?
mohabbat hai
mohabbat aik hi bas aik hi insaan ki khatar
 maghan rehna
hama waqat us ki baton , kushbo'on main dolna kab hai
mohabbat us ki zulf ke bul kholna kab hai
mohabbat ke hazaron rang
laakhon ista'array hain
kisi bhi rang main ho yeh 
mujhay apn abanati hai
yeh meray dil ko bhati hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...