Mujhay her khauf se hat kar yeh duniya ko batana hai
keh apney piyaar ka bandhan to sadiyon se purana hai
hamain ik doosray ki zaat ki takmeel karni hai
samandar ke kinaray par hamain ik ghar banana hai
woh ghar jis main baharon , kushbon , rangon ka mela ho
yahan se door sabzay main woh ghar apna akela ho
main her subho tumharo aankh se dekhon haseen manzar
tumharay husan ka jadoo meri aankhon main phaila ho
magar phir youn hua halaat ne us ko badal dala
bhula kar us ne sab batain hamara dil kuchal dala
bananay sahilon par ghar mohabbat ke haseen us ne
magar waye muqadar ke badal dalay makeen us ne
kisi ka hath hathon main woh le kar ab bhi chalta hai
magar jab tanha milta hai to bas itn ahi kehta hai
suni ! bichar ke tum se jo dil par laga hai ghayo gehra hai
hamaray dil ki wadi main jahan tha raaj kushiyon ka
wahan ab dard tehra hai
No comments:
Post a Comment