Hum jo ponchay sar-e-maqtal to yeh manzir dekha
Sab se ooncha tha jo sar , nok-e-sina par dekha
Hum se mat poocho keh kab chand ubharta hai yahan ?
Hum ne suraj bhi teray shaher main aa kar dekha
Pyaas yaaron ko ab us mor pe le aayi hai
Rait chamki to yeh samjhay keh samandar dekha
Aisay liptay hain dar-o-baam se ab kay jaisay
Haadson ne bari muddat main mera ghar dekha
Zindagi bhar na hua khatam qayamat ka azaab
Hum ne her saans main bar'pa naya mehshar dekha
Itna be'hiss keh pighalta hi na tha baaton se
Aadmi tha keh tarasha hua pathar dekha
Dukh hi aisa tha keh roya tera "Mohsin" warna
Gham chupa kar ussay hanstay huye aksar dekha
No comments:
Post a Comment