May 14, 2014

Woh bhi kya din thay keh pal main kar diya kartay thay hum



Woh bhi kya din thay keh pal main kar diya kartay thay hum
Umar bhar ki chahatein her aik har'jaai kay naam

Woh bhi kya mousam thay jin ki nikhaton kay zaiqay 
Likh diya kartay thay khaal-o-khad ki rah'naai kay naam 

Woh bhi sohbatein thein jin ki muskurahat kay fasoon 
Waqf thay ehal-e-wafa ki bazam araai kay naam 

Woh bhi kya shamein thein jin ki shohratein mansoob thein 
Be'sabab khulay huye baalon ki ruswai kay naam 

Ab kay woh rutt hai keh her taza qayamat ka azaab 
Apnay jaagtay zakhmon ki gehraai kay naam 

Ab kay apnay Aanso'on kay sabab shakista aainay 
Kuch zamanay kay liye , kuch tanhai kay naam

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...