Na manzalon ko, na hum raah guzar ko dekhtay hain
ajab safar hai keh bas hum safar ko dekhtay hain
na pooch jab woh guzarta hai be'niazi se
to kis malaal se hum naam-e-bar ko dekhtay hain
teray jamaal se hat kar bhi aik duniya hai
yeh sar'chasam magar kab idher ko dekhtay hain
woh be'khabar meri aankhon ka sabar bhi dekhein
jo tanz se meray damaan-e-tar ko dekhtay hain
yeh jaan kani ki ghari kiya tah'er gai hai keh hum
kabho qaza ko kabhi chara gar ko dekhtay hain
hamari dar badri ka yeh majra hai keh hum
musafaron ki tarah apney ghar ko dekhtay hain
Poet : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment