May 25, 2014

woh rangon main dhali larki


Woh rangon main dhali larki

woh rangon main dhali larki

tumhain kitna  yeh bola tha 

keh meri zindagi main is tarah shamil nahin hona

jab aankhain subha ko kholon , pukaron naam main tera

kabhi jo aaina dekhon 

tumhara aks meri aankh ki puttli main jam jaye

kushi mujh ko milay koi 

tumhara sath main dekhon

dekhon main bhi yahi chahon keh meray pass bas tum ho

tumhain kitna yeh bola tha

mujhay badal se , barish se mohabbat hai hamesha se

magar tum ne mohabbat ko junoon main kyn badal dala?

main ab barish ke mousam main tumhi ko dhoondta kyn hoon

inhi sochon main bheegta hon , main tanha bheegta kyn hoon

tumhain kitna yeh bola tha 

meri aadat nahin badlo

meri khatir nahin badlo

magar tum ne badal dala

mera sab kuch badal dala

main ab jo khud ko takta hoon , mujhay tum yaad ati ho

tumhain kitna yeh bola tha mujhay tum yaad mat ana

keh tum ko bhoolna waisay hi meray bas se bahir hai

mujhay jab yaad ati ho to yeh mehsoos hota hai

mujhay tum yaad karti ho

tumhain kitna yeh bola tha mujhay tum yaad mat karna

mujhay tum yaad mat ana

meri iss zindagi main iss tarah shamil nahin hona

tumhain kitna yeh bola tha

woh rangon main dhali larki

kabhi jab baat karti hai

to us ke lafaz kushboo ki tarah mehsoos hotay hain

woh hansti hai to jaisay

sara aalam uss hansi main doob jata hai

woh lab us ke woh aankhain aur woh chaheray ki shadabi

keh jaisay apsara koi

woh mera naam lati hai to

meri rooh main jaisay nasha sa utar'ta hai

mera mann jhoom uth'ta hai 

woh rangon main dhali larki

jhukaye apni palkon ko kabhi jo mujh se kehti hai

mujhay tum se mohabbat hai

to us ka shar'mageen lehja yaqeen mujh ko dilata hai

keh duniya khoobsurat hai

woh rangon main dhali larki

udasi ke saay'on ko jab oorh leti hai

mera dil khoon rota hai

main uss ki sharbati aankhon ki numi se bheeg jata hoon

woh rangon main dhali larki

jissay mujh se mohabbat hai

mera izhaar sunti hai to sab bhool jati hai

jhukaye apni palkon ko woh aisay muskurati hai

keh jaisay apsara ho

woh rangon main dhali larki

meray lafzon main rehti hai

mujhay aksar yeh kehti hai

mujhay tum se mohabbat hai.....!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...