May 30, 2014

Na toot jaye kahin silsala tamana ka


khayal-o-khwaab ko ab mil nahin rahi hai amaan

na ab woh mati-e-dil hai na ab woh nasha-e-jaan

na toot jaye kahin silsala taman'na ka 

jo dard-o-dil ka tha rishta ussay bahaal karo

nahin hai gardash-e-sagar gardash-e-khoon hai

so apni gardash-e-khoon se hi kuch sawal karo

zara to silsala-e- rang ka khyal karo

zawal-e-haal ky din hain koi kamaal karo

hai fasal-e-yaas to khud ko koi faraib hi dain

koi umeed dilao keh arzoo to rahay

nazar uthay na uthay dil kuch tehar jaye

qadam uthain na uthain koi justagoo to rahay

ho jara-e-gham-e-jaan kiya yeh guftagoo to rahay

keh dil ke haal ko pur majra to rakhna hai 

khyal-e-naaz-o-lihaaz ada to rakhna hai

jo dil ka khoon hua hai ussay bhula dain kiya

hisaab-e-baish-o-kam khoon baha to rakhna hai 

shab-e-draz judai hai arzoo ki hareef

so zakham-e-shouq ko jalta hua to rakhna hai

na toot jaye kahin silsala tamana ka  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...