qariya qariya basti basti jashan manaya kartay thay
tez hawa main pyar ke sachay deep jalaya kartay thay
shaakh shaakh main ab bhi teray piyaar ka dheema lehja hai
jin pairr'on ke saye hum ko geet sunaya kartay thay
Aaj ruton ke sath jo badla hum ko tanha chor gaya
kal tak to us pairr ke patay hum par saya kartay thay
boorhay bargad ki shakhon par jhooltay thay hum rozana
sapno ke kiya sundar mehal banaya kartay thay
khoye khoye rehnay walo ! raaz-e-mohabbat faash hua
bheegi aankh ne keh dala jo raaz chupaya kartay tahy
meri tarah woh pairr bhi ab tak tanha rehta hai
jis ki thandi chayon main tum pareet jat'taya kartay thay
shahzab tum to itni jaldi sath hamara chor gaye
kal tak pyaar ki kaisi kaisi qasmein khaya kartay thay
No comments:
Post a Comment