May 26, 2014

shak'kist-e-zindagi waisay bhi mout hi hai na


shak'kist-e-zindagi waisay bhi mout hi hai na
tu sach bata ! yeh mulaqaat aakhri hai na

main khud bhi yaar tujhay bhoolney ke haq main hoon
magar jo beech main kam'bakhat shaiyari hai na

yeh kor-e-chasham ujalon se ishq kartay hain
jo ghar jala ke bhi kehtay hain roshni hai na

tu meray haal se anjaan kab hai duniya
jo baat keh nahin paya samjh rahi hai na

main jaan boojh ke aya tha teegh aur teray beech 
miyan ! nibhani to parti hai dosti hai na

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...