May 31, 2014

Sath to ajnabi bhi chaltay hain


Us ne mujh se kaha
meray sathi 
tum ko mujh se jo gila hai .... kiya hai ?
kabhi fursat milay to yeh socho
minzalain kyn hain ? fasla kiya hai
apny apny safar par nikly log
mushtarik raston par chaltay hain
hamrahi ke hisaar main jitny
din nikaltay hain chraagh jaltay hain
apni apni umeed ke dar-o-baam 
zindagi ke safar main milty hain
mustaqil dard , arzi araam
tum meray hamsafar to ho lakin
hum kahin se bichar bhi saktay hain
der tak ik taveel rastay par 
sath to ajnabi bhi chaltay hain

Poet : Amjad Islam Amjad

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...