Tumharay liye hi lafzonm ki yeh bazam sajaai hai
Woh lafz jo bikhray huye motiyon ki tarah thay
Apni jaga mukamal ' magar be'mahni
Yeh moti meray ird gird bikhray huye thay
MAin roz unhein youn hi rond'tay huye guzar jaata
Magar phir achanak tum mil gayein
Tumhari mohabbat ghair'mehsoos tareeqay se meri ragon main dor'nay lagi
MAin ne pehli dafa tumhari ba'dolat mohabbat ko mehsoos kiya
Mohabbat !
Jis kay baaray kehtay hain "zaat ki takmeel hoti hai"
Kaainaat ka khoobsurat tareen jazba
Aur tum ne mujhay sar se paaon tak mohabbat kar diya
Main yeh iqraar karta hoon
keh tum ne , tumhari mohabbat ne mujhay in bikhray motiyon ko pirona sikhaya
Meray jazbat Apahij thay !
Tum ne qalam kay zariye unhein chalna sikhaya
Aur is kay baad main ne tumharay sang guzra her lamha tasawur kar liya
JAzbon ko lafzon kay qaalab main dhaal diya
Woh kabhi nazam ki surat , kabhi ghazal kay roop main dhal gaye
Tabhi to tum mehsoos kar sakti ho
Keh meri shairy kay pehlu main tum dil ban kay dha'rakti ho
Tum ne meray liye itna kiya aur main tumharay liye kuch na kar saka
Tumharay saath chalnay ki khwaish thi magar na chal saka
Meri majbooriyan meray paaon ki bairiyaan ban gayi
Magar mujhay apna wada yaad hai
Keh main lafzon kay motiyon se jitni bhi maala'ein bana'on ha
Sab tumharay liye hon gi
Main aaj is Ehad ki tajdeed karta hoon , is iqraar kay saath
Keh mujhay tum se mohabbat hai
Woh mohabbat jo zaat ki takmeel hoti hai
No comments:
Post a Comment