May 14, 2014

Aik mudat se ussay dekh raha hoon mohsin



Safha-e-waqat pe tehreer badal jati hai
Ayet-e-hijar ki tafseer badal jati hai

Aisa ik waqat bhi ata hai meri neend pe jab
Khawab se pehlay hi tabeer badal jati hai

Ab to her lamha mera qaid main kat jata hai
Faraq sirf itna hai zanjeer badal jati hai

Waqat her baat ko mehfooz to kar leta hai
Haan magar baat ki taseer badal jati hai

Parhta rehta hoon main haton ki lakeerain youn bhi
Main yeh sunta tha keh taqdeer badal jati hai

Aik mudat se ussay dekh raha hoon mohsin
Choona chayon to woh tasveer badal jati hai

Poet : Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...