May 21, 2014

Tumhain bakshi hai dil par hukam'rani aur kiya detay




Tumhain bakshi hai dil par hukam'rani aur kiya detay

yahi thi hamari raaj'dhani aur kiya detay

saja kar sar hathaili par gaye thay ko-e-jaana main

hum apnay ishq main un ko nishani aur kiya detay

woh hum se mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa

na detay us ko hum apni jawani aur kiya detay

sitaron se kisi ki maang bharna ik fasana hai

tumharay naam likh di zind'gani aur kiya detay

bichartay waqat us ko ik na ik tohfa to dena tha

hamaray pass tha ankhon main pani aur kiya detay

lab-o-guftaar ki imran mojein muskurati rahein

hum is behr-e-mohabbat ko rawani aur kiya detay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...