us ko juda huye bhi zamana bhout hua
ab kiya kahain yeh qissa pura bhout hua
ab kiya kahain yeh qissa pura bhout hua
dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaaq
ae marg-e-nagahan ! tera ana bhout hua
hum khalad se nikal to gaye hain par ae khuda
itney se waqiea ka fasana bhout hua
ab hum hain aur saray zamaney ki dushmani
us se zara sa rabat barhana bhout hua
ab kyn na zindagi pe mohabbat ko war dain
is aashqi main jaan se jana bhout hua
ab tak to dil ka dil se taaruf na ho saka
mana keh is se milna milana bhout hua
lo phir teray labon pe usi be'wafa ka zikar
ahmed faraz! tujh se kaha na bhout hua
Poet : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment