May 20, 2014

us ne jab meri taraf piyar se dekha ho ga



us ne jab meri taraf piyar se dekha ho ga


meray baray main baray ghour se socha ho ga

subha ko jis ne sajae hai hansi honton par

raat bhar us ko kisi gham ne staya ho ga

kar ke wada bhi agar ap nahin aayein ge

naam bad'naam zamanay main wafa ka ho ga

hans ke hum jo baat kar letay hain us se kurasheed

haal apna woh samjh letay hain acha ho ga

her dard ko ae jaan main apnay seenay main chup loon

kantay teri rahon ke main palkon pe saja lon

bichari hai meri neend bichray ho tum jab se

jee chahay tujhay roz hi khawabon main bula loon

tu pass na a, haan zara daman to barha de

ashkon ko kahan tak main in ankhon main sambhalon

liye jaye janay kahan hamain waqat ka dariya

is dil par lagay zakham zara aj dikha loon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...