Janti ho tum
jis ki aankh me nami si thi
jis ka chehra malool rehta tha
woh jo be-tawajoei ke sabab
hamesha be'asool rehta tha
woh ek shakhs janto ho tum?
woh jissay neend bhout piyari thi
woh jo ik khwaab ke asar main tha
woh jo la-ilm raha manzil se
woh jo umar bhar safar main tha
woh ek shakhs janto ho tum?
jis ne kushboo ki tam'mna ki thi
aur ronday gulaab paye thay
jis ne apni hi nekiyon ke awaiz
rafta rafta azaab paye thay
woh ek shakhs janto ho tum?
woh jis ki soch bhi pareshaan thi
woh jis ke lab par faqat dua'ein thein
wohi uljhi hui be'chain si baton wala
mohabbat se dar gaya kal shab
hijar ke dukh ko sehtay sehtay
woh shakhs mar gaya kal shab
ayo ab laash uthao us ki
woh jo teray asar main rehta tha
Aao ab laash uthao us ki
woh jo suraj ko qamar kehta tha
mohabbat se dar gaya kal shab
woh shakhs mar gaya kal shab
woh shakhs mar gaya kal shab
No comments:
Post a Comment