May 23, 2014

yahi wada liya tha na hamesha kush hi rehna hai








yahi wada liya tha na hamesha kush hi rehna hai

to  dekh lo aa kar

meri aankhon ko dekho tum

yeh kitni shokh lagti hain

meray honthon ko dekho tum

hamesha muskuratay hain

koi bhi gham agar aya ussay hans kar saha main ne

meray chaheray ko dekho tum

hamesha pur'sakoon ho ga

to socho gy

kiya tha jo main ne tum se

woh wada kar diya poora

magar ik baat hai piyaray

kabhi jo waqat mil jaye to meri shayari parhna

tumhain mehsoos to ho ga kahin talkhi bhara lehja

kahin pe sard sa lehja

kahin pe dard ki jheel'ein

kahin lehjay ki karwahat

suno ! main kush to hoon magar

lahoo her lafaz roota hai , lahu her lafaz roota hai

yahi wada liya tha na  hamesha kush hi rehna hai

to dekho aa kar  , to dekh lo aa kar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...