May 23, 2014

Farz karo tum titli hotein rangon ki poshaak pehan kar





Farz karo tum titli hot'ein

rangon ki poshaak pehan kar 

khud main gum sum baagh main phir'ti

her ek phool ko chooma kar'ti

jab main tum ko choney jata

meray hathon se urr jati

main is jeet aur maat pe hansta

pehron tujhay dekha karta

ஜ۩۞۩ஜ

farz karo tum kushboo hot'ein

her dali her phool main rehti

main her phool ko piyaar se takta

ik ik phool ko chooma karta

her ik phool tumhari surat

khush rang aur piyara hota

hath ke lams se dohra hota

ஜ۩۞۩ஜ

farz karo tum barish hotein

pehlay piyaar ki pehli barish

main barish main bheegta  rehta

her qatray ko choomta rehta

ஜ۩۞۩ஜ

farz karo tum nadiya hotein

aur main nadiyon ka sahil hota

her lemha hum miltay rehtay

ik doojay main gum ho jatay

ஜ۩۞۩ஜ

farz karo tum phool aur titli ya phir rang aur kushboo hotein

farz karo tum barish nadiya ya phir mera sahil hotein

farz karo tum jo bhi hotein lakin mujh ko piyari hotein

mera sundar sapna hotein

meri zaat ka mandar hotein


ஜ۩۞۩ஜ

farz karo ab kiya karna hai khwaab sab hi to pa'inda hain

pyar ke bandhan main zinda hain

main hum pa'inda hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...