Main chup ho jayon ga bujhti hui shamm'on kay saath
Aur kuch lamhay tehar ! ae zindagi , ae zindagi
Jab talak roshan hain aankhon kay fasurda taach'qay
Neelgon honton se phootay gi sada ki roshni
Jism ki girti hui dewaar ko thaamay huye
Mom kay butt Aatish'ein chehray sulagi muratein
Meri bee'nai ki yeh makhlooq zinda hai abhi
Aur kuch lamhay tehar ! ae zindagi , ae zindagi
Ho to janay de meray lafzon kay mah'ni se tahi
Meri tehre'rain , dhuwein ki raangti parchaiyan
Jin kay paikar apni awazon se khali be'lahu !
Mehav ho janay to de yaadon se khawabon ki tarah
Ruk to jayein aakhri saanson ki wehshi Aandhiyaan
Phir hata lena meray maathay se tu bhi apna haath
MAin bhi chup ho jaon ga , bujhti hui shamm'on kay saath
Aur kuch lamhay tehar ! ae zindagi , ae zindagi
No comments:
Post a Comment