Aankh se door na ho dil se utar jaye ga
waqat ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga
itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga to dar jaye ga
tum sar-e-raah-e-wafa dekhtay reh jayo gy
aur woh baam-e-rafaqat se utar jaye ga
zindagi teri ata hai to yeh jany wala
teri bak'shish teri dahleez pe dhar jaye ga
doobtay doobtay kashti ko oochala de doon
main nahin koi to sahil pe utar jaye ga
zabat lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz
zaalim ab ke bhi na roye ga to mar jaye ga
No comments:
Post a Comment