Jun 1, 2014

shikwa-e-izhaar kyn karay

shikwa-e-izhaar kyn karay 
apni duniya khraab kyn karay 
gin to letay hain ungliyon pe gunnah 
rehmaton ka hisaab kon karay
ishq ki talkh kamayon ke nisaar
zindagi kamyaab kon karay
daawat-e-mae'kashi  un aankhon main
jurat-e-iztaraab kon karay
dil ka aaina samney le kar
tujh ko tera jawaab kon karay
hum se may'kash jo toba kar baithay
phir yeh kaar-e-sawaab kon karay
gharq-e-jaam-o-sawaab ho ke
shughal-e-jaam -o-shraab kon karay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...