Ab yeh sochon to bhanwar zehan main parr jatay hain
Kaisay chaheray hain jo miltay hi bichar jatay hain
Kyon teray dard ko dain tohmat-e-veerani-e-dil
Zal'zalon main to bharray shaher bhi ujjar jatay hain
Mousam-e-zard main ek dil ek dil ko bachaon kaisay
Aisi rut main to ghannay pairr bhi jharr jatay hain
Ab kiy koi meray qadmon ky nishaan dhoondein gy
Taiz aandhi main tu khaimay bhi ukhaar jatay hain
Shiddat-e-gham main bhi zinda hoon to hairat hai kaisi
Kuch diaye to tund hawaon se bhi larr jatay hain
Woh bhi kiay log hain mohsin jo wafa ki khatar
Khud trasheeda asoolon pe bhi arhh jatay hain
No comments:
Post a Comment