Rahat-e-dil mata-e-jaan hai tu
Aye gham-e-dost jawidaan hai tu
Aansoon par bhi tera saya hai
Dhoop kay sar pe saiybaan hai tu
Dil teri das'tras main kyon na rahay
Is zameen par to asmaan hai tu
shaam-e-shaher udaas ky wali
Ae meray meharbaan kahan hai tu
Saya-e-abr-e-raigaan hoon main
Moj-e-behar-e-be'kraan hai tu
Lamha bhar mil kay roothnay walay
zindagi bhar ki daastaan hai tu
Tera iqraar hai nafi meri
Meray asbaat ka jahan hai tu
Jo muqaddar sanwaar detay hain
un sitaron ki keh'kishaan hai tu
Be'nishaan be'nishaan khayaam meray
Karwaan karwaan rawaan hai tu
Jalatay rehna chraagh aakhr-e-shab
Apnay mohsin ka raaz'daan hai tu
Apnay mohsin ka raaz'daan hai tu
No comments:
Post a Comment