Jun 16, 2014

Ae moj-e-hawa tu hi bata woh yaar hamara kaisa hai


Ae moj-e-hawa tu hi bata 
Woh yaar hamara kaisa hai 
Jo bhool chuka hai hamein kab se
Woh jaan se payara kaisa hai ?
Kya us kay jeevan lamhon main 
Koi lamha mera baqi hai ?
Kya us ki jaagti aankhon main 
Meri yaad abhi bhi baqi hai ?

Agar aisa nahin to tu hi bata
Hum yaad ussay kiyon kartay hain ?
Woh hum se bichar kar khush hai agar 
To pal pal hum kiyon martay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...