Jun 16, 2014

Hasrat-e-deed ko tarsaa ky chala jaaon ga


Hasrat-e-deed ko tarsaa kay chala jaon ga 
Teri ulfat ki qasam kha kay chala jaon ga 

Ik nazar door se dekhon ga dar-o-baam teray 
Deeda-e-shouq ko tarpaa kay chala jaon ga 

Aik barsay huye badal ki tarah guzra hoon 
Moj main aaya hoon lehraa kay chala jaon ga 

Raat ki raat musafir hoon teri basti main 
Shab ka tara hoon , nazar aa kay chala jaon ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...