Jun 23, 2014

Baarishon ky mousam main waqat kay andheron main


Baarishon ky mousam main 
Waqat ky andehron main 
Main ne us se poocha tha 
Chor to na jayo gy
Hath thaam kar us ne
Kaan main yeh bola tha 
Kaisay chor sakta hoon 
Tum to jaan ho meri
Aur aaj aisa hai 

Waqat ki tamazat main 
Wehshaton ky mousam main 
Main ne us se poocha hai
Chor kar hi jana tha 
Muskuraati galiyon main 
Aas kiyon dilai thi
Piyaas kiyon jagai thi 
Meray in sawalon par 
Chalty chalty woh bola 
Mousamon ky khail hain sab 
Jo badalty hi rehtay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...