Jun 23, 2014

Bahaar kiya , ab khizaan bhi mujhay galay lagaye to kuch na paye


Bahaar kiya , ab khizaan bhi mujhay galay lagaye to kuch na paye 
Main barg-e-sehra hoon , youn bhi mujh ko hawa urraye to kuch na paye 

Main pastion main bhi bara khush hoon , zameen kay malboos main jura hua 
Misaal-e-naqsh-e-qadam para hoon , koi mitaye to kuch na paye 

Tamaam rasmain hi tor di hain , keh main ne aankhain hi phor di hain 
Zamana ab mujh ko mera aaina bhi dikhaye to kuch na paye 

Ajeeb khwaish hai meray dil main , kabhi to meri sada ko sun kar 
Nazar jhukaaye to khouf khaye , nazar uthaye to kuch na paye 

MAin apni be'maegi chupa kar , kawaar apnay khulay rakhon ga 
Keh meray ghar main udaas mousam ki shaam aye to kuch na paye

Tu aashan hai na ajnabi , tera mera pyaar hai sar'sari
Magar yeh kiya rasm-e-dosti hai keh tu rooth jaye to kuch paye 

Ussay ganwa kar ussay phir paanay ka shouq dil main youn hai "Mohsin"
Keh jaisay paani pe daa'ira sa koi banaye to kuch na paye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...